Kisi software company se poochein ke aap ka software Urdu mein hai, to jawab aksar haan hi milta hai. Phir zara ghaur se dekhein. Bachay ka naam Urdu mein likh sakte hain, ya fee voucher ke neeche Urdu ki aik line daal sakte hain, aur jin screens ke samne aap ka staff sara din baitha hai woh English mein hi hain.
Is mahine se pehle Skoolyte ke baare mein mera jawab bhi yehi hota. Naam Urdu mein ho sakte the, report card aur question paper Urdu mein print ho sakte the, aur baqi sab English tha.
Baat tab badli jab aik madrasa ne sign up kiya. Un ke teachers ko attendance aur marks Urdu mein chahiye the, aur parents ko app Urdu mein, to hum ne pehle woh banaya. Irada yehi tha ke yahin ruk jayenge aur office English mein rahega. Phir main ne dekha ke software sab se zyada istemal kaun karta hai. Woh fee counter wala banda hai, aur usi ko hum ne chhor diya tha. To hum lage rahe, aik aik screen kar ke, yahan tak ke office bhi ho gaya.
Button dabane se kya hota hai
Upar wali bar mein language ka chhota sa button hai. Phone par yeh menu ke andar hai. Dabayen to menu screen ki seedhi taraf aa jata hai aur Urdu mein ho jata hai, aur har naam ke neeche chhote lafzon mein English naam bhi hota hai, taake jis ko purane naam yaad hain woh bhi apni cheez dhoond le. Page bhi seedhi taraf se shuru hota hai.
Fee collection, Fee Management, students ka record, attendance, exams aur results, staff, payroll, accounts, timetable, admissions aur settings, yeh sab saath badalte hain. Alfaaz mein hum ne zyada tar wohi likha hai jo school office mein bola jata hai. Fee فیس hi hai aur advance ایڈوانس, kyunke counter par koi aur lafz bolta hi nahi.
Yeh choice usi computer ya phone par save hoti hai. Aap ka clerk counter par Urdu mein kaam kar sakta hai aur aap ghar se wohi school English mein dekh sakte hain, aur aik ki choice se doosre ka kuch nahi badalta. Agar staff English mein khush hai to button para rahe, koi farq nahi.
Madrasa mein maamla alag hai. Wahan sab Urdu se shuru karte hain, aur jo chahe English par ja sakta hai.
Do cheezein jo pehli dafa ghalat hui
Pehle version mein har screen par Nastaliq tha, kyunke Urdu aisi hi achhi lagti hai. Kitab ya akhbar mein to theek hai. Chhote buttons aur tang columns wale page par yeh kharab lag raha tha, aur mujhe pasand nahi aaya. Ab screens par saaf seedha Urdu font hai, jaisa phone ke menu mein hota hai, aur Nastaliq printouts aur lambi tehreer, jaise question paper, ke liye rakha hai.
Hum ne har raqam ke saath روپے bhi likha tha. Bari raqam ke saath yeh ajeeb lagta tha, to ab Urdu screen par Rs 1,500 likha aata hai, jaise aam taur par log likhte hain, aur number bhi poora rehta hai, Urdu ki direction mein tootta nahi.
Kya abhi English mein hai
Zyada tar printouts. Receipt, fee voucher, statement aur certificates English mein hi niklte hain, chahe screen Urdu mein ho. Voucher par apna Urdu note daal sakte hain, aur report card aur question paper Urdu mein print ho sakte hain, lekin receipt abhi English hi hai.
Reports ke andar ke tables bhi English mein hain, aur kuch lines jo system khud likhta hai, jaise approval request ki history.
Yeh kaam abhi abhi mukammal hua hai, to kahin kahin koi lafz ajeeb lag sakta hai. School office ke aadhe kaamon ke liye Urdu ka koi tay shuda lafz hai hi nahi, aur hamein chunna para. Koi lafz ghalat lage to hamein message kar dein, hum badal denge.
Sab se zyada faida kahan hai
Roz ka kaam asal masla nahi. Jo banda teen saal se fees le raha hai woh kisi bhi zuban mein yaad se kar leta hai. Mushkil tab aati hai jab kaam zara hat kar ho, jaise ghalat lagi hui fee wapas karni ho, saal ke beech mein discount dena ho, ya samajhna ho ke kisi family ka balance theek kyun nahi lag raha. Tab insaan ruk kar screen parhta hai, aur agar English aaram se nahi parh sakta to office ke us aik bande ko phone karta hai jo computer jaanta hai, ya andaza laga leta hai. Fee ke record mein ghalat andaze ko theek karna us sawal ko parhne se kahin zyada waqt leta hai.
Dekhna ho to hum se demo mang lein, aur apni jagah apne clerk ko bithayen. Jaldi pata chal jayega ke aap ke office ke liye theek hai ya nahi.